nikitadhaiya said:phir wahi shaam, phir wahe mayhkhaane,
bhare bhare, chalakte chalakte paimaane,
en dilwaaloon ke kisse hain bade poorane,
ghar ghar mein mashhoor inke afsaane,
mehboob se milne ke inse pass hain lakhoon bahane,
har shama par mandrate parwaane,
inke fitrat se kahan hain ab log anjaane,
saare jamane ke liye ye hain 'pagal deewane',
ye tadap, ye kashish, ye uljhan, ye josh, ye junoon, ye chahat,uff ye mohabbat,
kyo ruke koi,zindajaani mein ye jawani ke din hain sabse suhane.
Nice composition Nikita,
This is my own creation :
Abhi Abhi
Tumhari yaah aai hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi
Aks ubhara hai tumhara
Meri aankhon ke samne
Mere najdeek ho tum
Ye ahsaas hua hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi
Kisi ne kaha mujhe
Ki usne dekha tumhe
Uun mahsoos hua mujhe
maine tumhe dekha hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi
Kuch kaha hai tumne
Ye mera waham sahi
Lekin mujhe lagta hai
Tumne pyar se pukara hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi
Abhi aaya hai khayal
Tum chahti ho mujhe
Ye bharm hua mujhe
Tumne pyar jataya hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi
Tumhara naam jodkar
Apne naam ke sath
Main ye sochne laga
'Vijay' ne tumhe paya hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi
Tumhari yaah aai hai abhi abhi
Mera dil dharka hai abhi abhi