Chahta jo hame koi dil ke gehraai se
duniya ka har sitam hame gavara hota
Ho jaate hum bhi kurbaan mohabbat mein
mila humko bhi agar,kisi ka ishaara hota
Laut aate hum doosre jahan se bhi
afsoos,kisi ne pyaar se kabhi pukara hota
Hasrat to hai bas sada se yahi apne
kash uski shayari mein zikar hamara hota
Jeet kar hi aate hum dil ki baazi ess duniyan se
Hamaare haathon mein agar haath tumhara hota ||
Badal hi dete unke haatho mein likhi taqdeer ko
Unke naam ke saath likha hua naam hamara hota ||