Yaadon Ke Pal

Status
Not open for further replies.
Baarisho ke ess mausam mein unka humen yaad karna
Jise yad karke tadpa dil woh hum nahin to aur kaun tha ||
Baaton hi baaton mein gujaari na jaane kitni hi raate
Suni raaton ka hamsafar woh hum nahin to aur kaun tha ||

ye din adhoora, raat adhoori
kahi suni har baat adhoori
us ek shaks ke bina to shayad
zindagi ki har saugat adhoori
 
ye din adhoora, raat adhoori
kahi suni har baat adhoori
us ek shaks ke bina to shayad
zindagi ki har saugat adhoori


KISMET MAIN HI NA THA KI WO MANJAR DEKHTE
RAATON KO TERI AAKHON KA SAGAR DEKHTE

MITTA KER APNE ISHK KO SHEBEY MAAHTAB PER
TUJE APNA BNATE AUR TERE BAN KER DEKHTE

YE DARD LIYE BETHA HUN SADION SE AAJ TAK
EK BAR TO WO BHI HAMEIN MUSKURA KE DEKHTE

"ANU" TUM HAMARE KISI TERHE NA BAN SKE
WARNA HUM BHI AAPNI DUAAON KA ASAR DEKHTE
 
Ab Kya Rkha Hai Jene Main, Armanon Ko Jalte Dekha Hai
Jin Ke Rang Main Raange Thy Kabhi, Aaj Unhain Rang Badalte Dekha Hai

Ab Kaise Kerein Yakeen, Kise Per Bhrosa Thik Nahi
Is Matlab Ki Dunia Main Aapno Ko Badelty Dekha Hai

Sagar Se Wo Neele Aakhen, Rehte They Jin Main Hum Kabhi
Aaj Unhin Ki Aankhon Main Tufan Macheltey Dekha Hai

Her Pal They Jo Mere Ajij, Mere Her Gam Main Sharik
Aaj Unhin Ko Maine Meri Halat Per Hanstey Dekha Hai

Jahan Rhey Wo Kush Rhey, Main Her Pal Yahi Dua Doonga
Mere Armanon Ka Janaja, Usne Bhi Nikelte Dekha Hai
 
Aasmaano ki neeyat humen saaf nahin lagti
Dil ke samandar mein bhi halchal jyada hai ||
Kinare baith kar nazaara dekh rahe hain woh
Hamaari kishti ne kiya tufaan se waada hai ||
 
un aakhon mein subah dekhi, sahar dekha
jisko na bhool paayenge woh manzar dekha


dil ka kya hai,dhadkna iske fitrat hai
aaj pehle baar ise betaab is kadar dekha


jiske saath guzar jaayegi zindagi tamam
tujh mein humne wohi humsafar dekha


chaya hai woh zinadgi mein kuch is tareh
woh he woh dikha, jab-jahan-jidhar dekha


kehte hain mangne se kahan koi milta hai
duaaon mein apne,aaj ye kaisa asar dekha
 
un aakhon mein subah dekhi, sahar dekha
jisko na bhool paayenge woh manzar dekha

आँखें होतीं हैं दिल का आईना, लिये हुए अपनी ही जुबान,
इन से मुकम्मल तो मैने न कोई गाँव देखा न शहर देखा ।
तेरी आँखों में देख लिया मैने सारा जहान, सारी खुदाई
गर देख न पाया सामने से, तो इधर देखा, उधर भी देखा ॥

.
 
un aakhon mein subah dekhi, sahar dekha
jisko na bhool paayenge woh manzar dekha

dil ka kya hai,dhadkna iske fitrat hai
aaj pehle baar ise betaab is kadar dekha

jiske saath guzar jaayegi zindagi tamam
tujh mein humne wohi humsafar dekha

chaya hai woh zinadgi mein kuch is tareh
woh he woh dikha, jab-jahan-jidhar dekha

kehte hain mangne se kahan koi milta hai
duaaon mein apne,aaj ye kaisa asar dekha



Dekha jab bhi ees zindagi ko peeche mudkar humne
Bas woh hi woh nazar aaye humne to jidhar dekha ||


Shaayad hamaari sadaao mein hi asar hi nahin hoga
Warna sabko to dekha usne par humen kidhar dekha ||


Hum nahin pehchaan paaye masoom chehre ki asliyat ko
Zakhm deke muskurane waala kaisa hasin dilbar dekha ||


Kahte hain ki bada naazuk hota hai ye dil ka shaasha
Unke seene mein to humne dil ki jagah paththar dekha ||


Kisi ki zindagi mein to muskuraai hai aaj mohabbat
'Vijay' ne apne pyaar ka kissa-e-mukhatsar dekha ||
 
waqt guzrega hum bikhar jaayenge
kaun jaane hum kidhar jaayenge
hum aapki parchaiyi hain yaad rakhna
jahan tanhai mili wahan nazar aayenge
 
Soul never dies

waqt guzrega hum bikhar jaayenge
kaun jaane hum kidhar jaayenge
hum aapki parchaiyi hain yaad rakhna
jahan tanhai mili wahan nazar aayenge

वक्त कभी ठहरता नहीं, रूह कभी मरती नहीं -
एक जिस्म को छोड़कर हम नई देह अपनायेंगे
यही तो दस्तूर है कुदरत का, पर हमें क्या पता -
इस दुनियां के बाद कहां जायेंगे, कहां मिल पायेंगे !
.
 
वक्त कभी ठहरता नहीं, रूह कभी मरती नहीं -
एक जिस्म को छोड़कर हम नई देह अपनायेंगे
यही तो दस्तूर है कुदरत का, पर हमें क्या पता -
इस दुनियां के बाद कहां जायेंगे, कहां मिल पायेंगे !
.



Bohot Badhhiya:


Apne ehankaar ko jala kar khak kar de
Waqt rehte kisi ka gamm kam kar de
Waqt gujjar jane par pachhtana paddta hei
Kisi ki jholli khussiyon se bhar de.
 
Dard kya hota hai bataayenge kisi roz
Haale-e-dil tumko sunaayenge kisi roz

Thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane
Mujhko yeh vaham tha woh bulaayenge kisi roz
 
waqt guzrega hum bikhar jaayenge
kaun jaane hum kidhar jaayenge
hum aapki parchaiyi hain yaad rakhna
jahan tanhai mili wahan nazar aayenge


Aapki yaadon se bachkar kahan jaayenge
Jahan bhi dekhenge tumko hi paayenge ||
Hamaari to tanhaai bhi lagegi ek mehfil
wo har mehfil mein tanha nazar aayenge ||
 
Welcome back brother !!!!

Kya baat hai Vijay, Uncle aap bhi kaafi achha likhte ho aur Divya aapne bhi kaafi achha likha hai.



Aapki yaadon se bachkar kahan jaayenge
Jahan bhi dekhenge tumko hi paayenge ||
Hamaari to tanhaai bhi lagegi ek mehfil
wo har mehfil mein tanha nazar aayenge ||
 
Dard kya hota hai bataayenge kisi roz
Haale-e-dil tumko sunaayenge kisi roz
Thi unki yeh zidd ke main jaaun unko manaane
Mujhko yeh vaham tha woh bulaayenge kisi roz

Dard-e-dil bayaan na kar sake ashqon se
Humen shaayad mohabbat ki aada nahin aai ||

Har mod par ruke ki pukaar hi lenge woh
Qayamat ho gai lekin koi sadaa nahin aai ||

Tod dene ke liya hi waade karte hain woh
Kaise kah doon ki unko wafaa nahin aai ||

Saathi to bahut mile zindagi ki raasate mein
Mohabbat to zindagi mein ek dafaa nahin aai ||
 
ashqon se haal-e-dil bayaan hota nahi
har toota dil aakhir yu rota nahi
aate hain unko khwaab kisi gair ke
yahan koi unke yaad mein sota nahin



Dard-e-dil bayaan na kar sake ashqon se
Humen shaayad mohabbat ki aada nahin aai ||

Har mod par ruke ki pukaar hi lenge woh
Qayamat ho gai lekin koi sadaa nahin aai ||

Tod dene ke liya hi waade karte hain woh
Kaise kah doon ki unko wafaa nahin aai ||

Saathi to bahut mile zindagi ki raasate mein
Mohabbat to zindagi mein ek dafaa nahin aai ||
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top