Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Very nice gazal, Rupi !


downtoearth said:
Bhoolne ka bhool kar ussko jo waada ker diya
Apni baton se mukar jaana, nahi mujhe manjoor hai

hathoon ney pakard pakard kar dubaya ta-umar

ab tinko ka sahara, nahi mujhey manzoor hai

fir dil kiya hai kashti ko ghusa du tuufaan mein
kinaroo ka yu hasna ,nahi mujhey manzoor hai

Bigde hue shayar ka ohdaa mujhko milta raha
Kab kaha maine? ab sudhar jaana nahi mujhe manjoor hai
 
Re Rupi... Humor se likad ke.... yahan kyukar bad gaya tu??
Ar yahan bhi.... gajab??? Really nice one!!! And with no copyright issues!!! ha ha


downtoearth said:
yey kuch chand khayalat hain jo ek arsey sey iss jehan mein poshida hain,,,, aaj khud-bakhud lafzoon ki shakal mein ubhar aayey hain..........



Bhoolne ka bhool kar ussko jo waada ker diya
Apni baton se mukar jaana, nahi mujhe manjoor hai

hathoon ney pakard pakard kar dubaya ta-umar

ab tinko ka sahara, nahi mujhey manzoor hai

fir dil kiya hai kashti ko ghusa du tuufaan mein
kinaroo ka yu hasna ,nahi mujhey manzoor hai

Bigde hue shayar ka ohdaa mujhko milta raha
Kab kaha maine? ab sudhar jaana nahi mujhe manjoor hai
 
shobit even the next 2 lines r from the same gazal.lies lies lies:mad: :mad: :mad: .shobit good yaar jooth bolne me to tum bikul nahi hich kichate.now i do not trust u and I do not care whether its ur creation or not.

shobhitdeshwal said:
ritu said:
You are right Ritu, the first two lines are from the same ghazal, by Jagjit and Chitra Singh and i have this in album, best of Jagjit and Chitra Singh, the following lines are my creation, and I claim it to be mine!!!! The starter you see..... was taken!!
 
Last edited:
har sulagti aankh nam kyo hain
har dhadakte dil mein gam kyo hain


barsoon baad aaj bhi hai uska intezar
us 'ek' shaks ke liye ye deewanapan kyo hai


ab na mauzoon ke fikar, na saahil ke talaash
har koi khud pe itna beraham kyo hai


muskuraane ko to sab muskuraate hai
har muskuraahat mein jhlakta ye sunapan kyo hai


vo to gaya kabhi na aane ke liye
uske yaadon mein zindagi bitaooge, aapka ye aalam kyo hai


ye sab 'diljale' hain, inke mat poochoo
har haal mein jee lenge, iradoon mein inke itna dam kyo hai
 
nikitadhaiya[B said:
vo to gaya kabhi na aane ke liye
uske yaadon mein zindagi bitaooge, aapka ye aalam kyo hai[/B]

Bahut Sundarr... very touching..

teri yadon ka galeecha hum sur pe uthaye firte hain
roj raat me isko, upne neeche bichaaya karte hain
neeche teri yaaden aur falak pe tera muskurata chehra
raat ne kabhi neeche aur kabhi oopar dekha karte hain

RK^2
 
Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai
 
Meri Chahat ne Use Khushi De di,
Badle Me Usne Mujhe Sirf Khamoshi De di.
Khuda Se Dua Mangi Marne Ki,
Lekin Usne Bhi Tadapne Ke Liye Zindagi De di .......
 
rana1979 said:
Meri Chahat ne Use Khushi De di,
Badle Me Usne Mujhe Sirf Khamoshi De di.
Khuda Se Dua Mangi Marne Ki,
Lekin Usne Bhi Tadapne Ke Liye Zindagi De di .......


Woh aaye they khushi churaane ke liye
Jo gum mein saath nibhate woh log aur they
Kab tak vishwas karoge jhuthe waadon par
Jo sacha pyar kar gaye woh log aur they
 
Chehre !

Har taraf chehron ka jungle, har chehra kuchh chhupata kyun hai
Aaj ek chehre me jo aaya kal wahi doosre chehre ma aata kyun hai

Chehron ko padh sakoon ye ilm na aaya mujhe kabhi
Jis par bhi aitbaar karun wahi dil ko chot pahunchata kyun hai

Har chehra achchha hai, yahi sikhaya tha mujhe insaniyat ne
Zindagi ka har mod, har kadam phir "sahil" isko jhuthlata kyun hai
 
vijay said:
Woh aaye they khushi churaane ke liye
Jo gum mein saath nibhate woh log aur they
Kab tak vishwas karoge jhuthe waadon par
Jo sacha pyar kar gaye woh log aur they

Ishq ke rishte kitne ajeeb hote hai….
Duur rehke bhi kitne karib hote hai,
Meri barbadi ka gum na karo yaro,
Ye to apne apne nasib hote hai…..
 
Har kisi ka Khuda hai raham-dil
mera Khuda itna be-raham kyu hai

har taraf suneheri ujala hai bikhra
roshni meri aankhon ki madham kyu hai

Resham-resham makhmalli-makhmali
jo daaman siya wo tar-tar kyu hai

puraney kissey jinhey yaad hain
wo mera hamraaz bewafa kyu hai

tanhayiyan jab chekhti hain
to dil tumhara khamosh kyu hai

lab agar khamosh huay hain to kya
aankhon ke pas kya afsaney kum hai
 
Muhabbat ki rahon me agar itne kaante hain
ne jane fir kyoon log muhobbat kiya karte hain
shaarb peene se hosh bhi kho jate hain
ne jaane fir bhi kyoon log piya karte hain
bhala kaun samajh paya hai insan ki fitrat
seene me karke jakhm, fir siyaa karte hain

RK^2
 
Last edited:
Meri barbadi ki daastan sunane se pehle
mujhe itna bata jaate chor jaane se pehle
agar koi shikwa tumne mujh se kiya hota
main tum ko mana leta rooth jaane se pehle
tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain
warna bohat the hum ko chahne wale tum se pehle
kya maloom tha itna tarpaye gi judaayi teri
warna to ham jaan hi de dete tere jaane se pahle.


Usko chaha bhi toh izhaar karna na aaya
kat guyi umar saari hume pyaar karna na aaya
Usne maanga bhi kuch toh judaai maangi
Aur hume inkaar karna na aaya.


Dua mangi thi aashiyane ki...........
chal padi andhiyan zamane ki.......
mera gum koi na samajh paya.......
kyonki meri adat thi muskurane ki..........

 
badlon ke darmiyan kuch aisi sajish hui,
mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baris hui,
usko bhi jid hai bijlliyan girane ki,

aur hame bhi jid hai vaha aashiyan banane ki:cool:
 
rana1979 said:
Ishq ke rishte kitne ajeeb hote hai….
Duur rehke bhi kitne karib hote hai,
Meri barbadi ka gum na karo yaro,
Ye to apne apne nasib hote hai…..

Naseebon se milte hain pyar bhare dil
Ye dilon ke rishte ek ahsaas hote hain
koi chahe kitni hi door rahe kisi se
Mahsoos har waqt dil ke pass hote hain


speedcrazy said:
Har kisi ka Khuda hai raham-dil
mera Khuda itna be-raham kyu hai

har taraf suneheri ujala hai bikhra
roshni meri aankhon ki madham kyu hai

Resham-resham makhmalli-makhmali
jo daaman siya wo tar-tar kyu hai

puraney kissey jinhey yaad hain
wo mera hamraaz bewafa kyu hai

tanhayiyan jab chekhti hain
to dil tumhara khamosh kyu hai

lab agar khamosh huay hain to kya
aankhon ke pas kya afsaney kum hai



Kal tak jo mohabbat ka dum bharta tha
Aaj usko itni nafrat ka ahsaas kyon hai

Kya apni mohabbat pe bharosha nahi raha
Usko logon ki baaton pe vishwash kyon hai

kal tak khushiyan kadam choomti thi jiske
Aaj kal gum uske aap pass kyon hai

Sachha pyar tadapata hai humdum ke liye
Ess mohabbat ka aisa itihaas kyon hai

Kab tak bhatkega jhuthi aasha liye
Har roz tujhe kisi ki talaash kyon hai

Ab koi yaad nahi aa raha hai "Vijay" ko
Phir bhi aaj mera ye dil udaas kyon hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *


Chehre
Chehra aaina hota hai es zindagi ka
Magar chehre pe chehra lagaate chere

Khud ko kabhi aaine mein na dekha kabhi
Dusron ko hi unka chehra dikhate chehre

Begaanon ki baat par bharosha karke
Aaj fir apno ko hi aajmaate chehre

El pal waada karkte hain mohabbbat ka
Agle hi pal naya rang badal jaate chehre

Apni khamiyan nahin dekhata hai koi
Aur dusron par hi ilzaam lagaate chehre

Ye mehabbat badnaam es hai bewafaai se
Mohabbat ko roz naya daag lagaate chehre

"Vijay" ne issi umeed me waqt gujaar diya
Ki Kabhi to apna asli chehra dikhate chehre
.
 
Last edited by a moderator:
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,:D
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
 
Ye zindagi kab samajh aayegi hamen
Waqt har roz ek nai kahani likhta hai

Masoom banti hai duniya mukhota lagakar
Sabko woh naqli chehra hi asli dikhta hai

Sachahai pehchaan ko tarasati rahti hai
Yahan har jhuth hatho-n-hath biktaa hai

Waqt hi faisla karega sach aur jhuth ka
Sach kahan chhupaane se chhiptaa hai

Woh mohabbat hi kya jahan vishwas na ho
Shak hi woh cheez hai jisse pyar mitataa hai

Humaare baad yaad aayegi hamaari wafa
Lekin waqt kahan kisi ke liye tiktaa hai

Dard dekar bhool jaane wale yaad rakhna
"Vijay" woh nahi jo har kisi ko miltaa hai

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Aisa to ho nahin sakta ki woh hamen bhool jaayen
Unhe meri yaad aayeegi lekin mere jaane ke baad
Itni kachhi dor nahin ye to rishta hai dil se dil ka
Mohabbat rang laayegi lekin bahut tadpaane ke baad
.
 
Last edited by a moderator:
mohabbat mein humne ek imarat thi banai,
apne sapno se lekar duniya tak thi sajai,
armanon ki kashti se toofan yun takraya,
ki dil bhi tuta aur awaz bhi na aai
 
vadae pe merae woh aithbaar nahi kartae...
hum zikrae mohabbat sarrey bazar nahi kartae...
darta hai dil unki rusvaayi se...
aur woh sochtae hai...ki hum unse pyaar nahi kartae...!!!

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

Aankh mein namken paani aane laga hai
maza abke saawan ka aane laga hai​

Hosh kisko raha ki dekh sakein humein?
koi itna madhosh nagma gaane laga hai​

raaton ke andhere me sunti hai aawaz unki
zehen me bas unka sorror chane laga hai​

kar diya tha mujhko mere hawale usne ab mera dil harr daman me bata nazar aane laga hai​

koi to batlaye ki hua kya hai unko
kyun mere naam pe unko ranj aane laga hai​

badi chot gehri hai, bada dard jawan hai
aur zakham se rooh tak dard jaane laga hai​

hua yeh ki yaron main bhool gaya khud ko
apne naam se bhi voh hi yaad aane laga hai​

dikha aks uska, uth baith gaya main
aks bhi kamra mehkane laga hai​

kuch kadam aur bache the, chal sake na voh.
bole... koi door se unko bulane laga hai..​

Aankh me namkeen paani chhane laga hai
maza abke saawan ka aane laga hai!!!​
 
Last edited by a moderator:
Status
Not open for further replies.
Back
Top