rana1979 said:
khusiyon par fizao ka pehra hai
na jaane kis ummeed par dil thehra hai
teri aakho se chalkte hue gam ki kasam
yeh dosti ka rishta pyaar se gehra hai
Pehre lakh bithhaye ye duniya,khushiyan kisi ki mohtaz nahi
Unn ko hum mil hi jayenge kahi na kahi
Pyar ka ehsass ek chinggari hei
Dosti to aaj hei kal nahi
rana1979 said:
Zindagi ki har khwahish puri nahi hoti,
Sirf umid se har cheez hasil nahi hoti,
Sach hai dil ki lagi khabhi nahi bujhti,
Par gam se pehle khushi kabhi nahi milti.
Pehle khussi jaroor mil sakti hei par gam to aayega
Jo tumko aaj hanssayegga kal jaroor rulayega
Kudrat ka kuchh niyam hi aaissa hei pyare
Jo dil lagaye ga wo dhoka jaroor khayega.
rana1979 said:
Pata Nahin Kis Mod Par Aakar Hamari Zindagi Ruk Gai Hai,
Khule Aasmaan Mein Bhi Suraj Ka Koi Pata Nahin Hai
Pata Nahin Hamari Taqdeer Ko Kiski Nazar Lag Gai Hai,
Hamare Haathon Mein Khushi Ki Ek Lakeer Nahin Hai
Kar hathh tu aage,ek lakeer nikalunga
Khusiyon ki kya baat,teri jholli bhar daalunga
Khushiyan lakiron mei kahan hoti hein mere yaar
Tum unn haathon se kismat banao,mei tumhein insaan manunga
rana1979 said:
Dil se tera khayal na jaaye to kya karoon,
Tu hi bata teri yaad jo aaye to kya karoon,
Hasrat yeh hai ki ek nazar dekh loon tujhe,
Kismat agar woh lamha na laaye to kya karoon
Aaye meri jo yaad to mujhe dil mei samma lena
Sapno ki ek khass mehfil jamma lena
Hum na bhi mile to kya,hasrtein nahi hoti puri kabhi
Kismat ko dosh na dena ei humdum,mere pyar ki ek dhunni ramma lena
.