Wafa aur mohabbat

Status
Not open for further replies.
Ab kisi ko kya bataayen dil ka aalam
Kushi se mar jaane ko jee chaahta hai
Jis manzil ko dhondhte rahe saari umar
Woh dilbar ab hamaare dil mein rahta hai

* ** *

Ye safar bhi kya suhana lag raha hai
Har koi begaana apna sa lag raha hai
Woh aayen hain bahaar-e-zindagi lekar
Ab har sapna hota sach lag raha hai
 
Last edited by a moderator:
Jinddagi ka saffar hua aassan tumhein pa kar
Hum khudd ho gayye paraye tumhein apna banna kar
Qurbaan mera sab kuchh teri chahat ko ei sanam
Hamein na kuchh aur chahiye tumhari chahat mei samma kar

* * * * *

In ankhon ke saamne maikhaana kya hai
Unki khubsoorati ka koi paimaana kya hai
Madhosh mohabbat ki kasam sach kahte hain
Ab hum nahi jaante ki ye jamaana kya hai

.
 
Last edited by a moderator:
vijay said:
Ye safar bhi kya suhana lag raha hai
Har koi begaana apna sa lag raha hai
Woh aayen hain bahaar-e-zindagi lekar
Ab har sapna hota sach lag raha hai

Kaliyaan khil gai,mausam baddal gaye tumhare aane se
Abb natta todd liya meine meikhane se
Abb tumharri aankhon se peeta huun befikkr
Abb koi sikayat aur sikwa nahin jammane se.
 
v nice both of u!

socha na tha kabhi aisa bhi hoga
is dil ki chaahat tu hi tu hoga,
jis raaste pe jaane ka dar tha
wahi meri kabhi manzil bhi hoga
manzil bhi hai wo kitni suhaani
ki lagti hai ab ye pariyo ki kahaani
na ab aankh khulti hai hosh mein aane ko
khwaab hi jaise kaafi hain ab baaki sab bhulaane ko

devdahiya said:
Jinddagi ka saffar hua aassan tumhein pa kar
Hum khudd ho gayye paraye tumhein apna banna kar
Qurbaan mera sab kuchh teri chahat ko ei sanam
Hamein na kuchh aur chahiye tumhari chahat mei samma kar
 
mansi1218 said:
v nice both of u!

socha na tha kabhi aisa bhi hoga
is dil ki chaahat tu hi tu hoga,
jis raaste pe jaane ka dar tha
wahi meri kabhi manzil bhi hoga
manzil bhi hai wo kitni suhaani
ki lagti hai ab ye pariyo ki kahaani
na ab aankh khulti hai hosh mein aane ko
khwaab hi jaise kaafi hain ab baaki sab bhulaane ko

Excellent Mansi !

Kya humne socha tha aur ab kya ho gaye
Unki tamanna mein zindagi ke raaste kho gaye
Unki yaad mein jaagate rahe hum raat raat bhar
Aur jab woh neend se jaage to hum so gaye
 
gud one!

na soye,na jaage,dil bas tere paas aana chaahe,
tu har pal ho mere saamne ,tere hone ka ehsaas chaahe
na soye,na jaage,soche mera dil har pal yahi
kahi ud na jaaye baadal ban k ye khwaab kahi
 
Ankhen band karoon to woh chehra nazar aaye
Ye dil unki bus ek jhalak paane ko taras jaaye
woh hi khawab woh hi tamanna woh hi zindagi
Unko yaad kar kar ke ye ankhen baras jaaye
 
Dev Sir,

Changing track again.

Ye kisne bheed mein laakar akela chhod diya
Mera ye tamam safar haadson se jodd diya
Bada haseen tha woh khawabon ka aainaa tera
Ek pathther phenk kar woh sheesha todd diya
 
khwab to khwab tha tutna hi tha
jindagi ko hakikat se jodna hi tha
tumhe iana tutne ka ranj he
humare dilme jo uske tukde chubhe
to bhi hum haste haste sah gaye
are pyar ka dava karne wale
sache ashiq kabhi mehboob se shikva karte nahi
tu akela kaha tha tera sang the me
tune dil ki naazar se dekha hi nahi

Ye kisne bheed mein laakar akela chhod diya
Mera ye tamam safar haadson se jodd diya
Bada haseen tha woh khawabon ka aainaa tera
Ek pathther phenk kar woh sheesha todd diya[/quote]
 
ritu said:
khwab to khwab tha tutna hi tha
jindagi ko hakikat se jodna hi tha
tumhe iana tutne ka ranj he
humare dilme jo uske tukde chubhe
to bhi hum haste haste sah gaye
are pyar ka dava karne wale
sache ashiq kabhi mehboob se shikva karte nahi
tu akela kaha tha tera sang the me
tune dil ki naazar se dekha hi nahi

Har nazar se dekha tha phir bhi maat khai
Zindagi phir kisi mod par kaali raat laai
Kaun shikva karta hai yahan kisi se ab
Woh khush rahe zinki yaad aankh mein barsaat laai
 
vijay said:
Har nazar se dekha tha phir bhi maat khai
Zindagi phir kisi mod par kaali raat laai
Kaun shikva karta hai yahan kisi se ab
Woh khush rahe zinki yaad aankh mein barsaat laai

Pyar jis nei behissab kiya
Ussne jinddaggi ko jee bhar jiya
Bina pyar ke ye jinddaggi hei bhi kya
Yahan aa kar kya diya aur kya liya
 
har kali raat ke baad subah hoti he
ek mod aata he to dusri gali shuru hoti he
vijay bhai mayoos na hovo dusro ki kushi
chane walo ke hamesha kushi saath hoti he

vijay said:
Har nazar se dekha tha phir bhi maat khai
Zindagi phir kisi mod par kaali raat laai
Kaun shikva karta hai yahan kisi se ab
Woh khush rahe zinki yaad aankh mein barsaat laai
 
Last edited:
devdahiya said:
Pyar jis nei behissab kiya
Ussne jinddaggi ko jee bhar jiya
Bina pyar ke ye jinddaggi hei bhi kya
Yahan aa kar kya diya aur kya liya

Koi kya jaane ye mohabbat kya hai
Unse poochho jinka dil chur chur hai
Koi hansta hai to kisi ki aankhen numm
Har insaan apni apni aadat se mazboor hai

ritu said:
har kali raat ke baad subah hoti he
ek mod aata he to dusri gali shuru hoti he
vijay bhai mayoos na hovo dusro ki kushi
chane walo ke hamesha kushi saath hoti he

Ye kaali raat bahut lambi lag rahi hai
Aur zindagi ke mod khatam nahin hote
Main mayuus nahin Ritu Ji bus sochtaa hoon
Kya wafa sikhane ke koi jatan nahi hote
 
Last edited by a moderator:
unka gam itna aziz he hame
ke roke bahana gawara nahi
dil ke tukdo ko jod ke rakha he hamne
ye unki amant he sambhal ke rakha he hamne ise
wafa to lahu me hoti he
ye kitabon se pad kar sikhai jati nahi

vijay said:
Koi kya jaane ye mohabbat kya hai
Unse poochho jinka dil chur chur hai
Koi hansta hai to kisi ki aankhen numm
Har insaan apni apni aadat se mazboor hai
 
koi mujhe gam de mai pyaar karu kaise ussee

ye unki koi aadaa nahi log bewafaai kahte hai usseeee..............

ritu said:
unka gam itna aziz he hame
ke roke bahana gawara nahi
dil ke tukdo ko jod ke rakha he hamne
ye unki amant he sambhal ke rakha he hamne ise
wafa to lahu me hoti he
ye kitabon se pad kar sikhai jati nahi
 
ishq tumahri majboori ho shayad uski nahi
ose shyad tum pasand na ho bewafa nahi wo
dil jasi cheez yu hi kisi ko di jaati nahi

suneet_rana said:
koi mujhe gam de mai pyaar karu kaise ussee

ye unki koi aadaa nahi log bewafaai kahte hai usseeee..............
 
dil koi cheez nahi jo mai yu hi bazar me baatata firu.....

ye to amanat hai mere yaar ki jo mujhe use hifaajat se pahuchaani hai

mohaabat ko pyar karne waale majburiii nahi kahte....

ye to tohafa hai bhagwan ka jo har kisis ko naseeb nahi hotaaaa
 
Last edited:
ab ja ka ke he sacche ashiq wali baat
dua maangte he hum tumahre pyar ko
osse bhi badkar pyar mile gum rahe dur
tumko WAFA AUR MOHABAT dono mile

suneet_rana said:
dil koi cheez nahi jo mai yu hi bazar me baatata firu.....

ye to amanat hai mere yaar ki jo mujhe use hifaajat se pahuchaani hai
 
ritu said:
unka gam itna aziz he hame
ke roke bahana gawara nahi
dil ke tukdo ko jod ke rakha he hamne
ye unki amant he sambhal ke rakha he hamne ise
wafa to lahu me hoti he
ye kitabon se pad kar sikhai jati nahi

Woh unke pyar ka gumm
Hum kaise bhoola paayenge
Waqt wafa kare ya na kare
Hum to har waada nibhayenge
 
Status
Not open for further replies.
Back
Top